Wednesday 28 December 2011

Ek din teri Raahon mein

Dil to hamesha se hi dhadakta tha,
Par dhakdan sunna sikhaya tere ehsaas ne.
Sunta tha hazaron kisse mohabbat ke ,
Par mera kissa banaya tere pyaar ne.
Dekhta tha jaate hue musafir Manzil ki raah mein,
Par unhi anjaan raasto par chalna sikhaya teri talaash mein.
Dekhta tha pehle bhi taare aasman mein,
Par unko raat bhar ginkar jagvaya tere intezaar ne.
Dekhta tha main logon ko doobte pyaar mein,
Par mujhko tairna sikhaya tere vaapas aane ki ek ummed ne.
Padta tha main bahut kavitayein aashiquon ki,
Par mujhko kavi banaya teri bevafayein ne.

-          Rauuullll
Started on 26th Dec 2008, finished on 26th Dec 2011

No comments:

Post a Comment